URL parameters kya hai.


URL parameters kya hai. Iski koi nishchit paribhasha nahi hai. But fir bhi mai aapko kuch simple step bta raha hu. I hope aapko aasani se URL parameters ki jankari samajh aa jayegi.
Humari website blog ki post ka permalink iss tarah se hota hai.
  1. WordPress: yousitename.com/how-to-earn-money-online
  2. Blogspot: yousitename.com/2016/05/how-to-earn-money-online.html
But jab koi visitor refferals sites facebook, google, twitter, feedburner and other se humari site par aate hai to site ke permalink me kuch extra words add ho jate hai or post ka url is tarah ho jata hai.
  1. WordPress: yousitename.com/how-to-earn-money-online?utm_source=facebook
  2. Blogspot: yousitename.com/2016/05/how-to-earn-money-online.html?utm_source=facebook
Is extra links se google ko ye pata chalta hai ki humari site ko kis refferal site se traffic mil raha hai. Google analytics me isi ki help se google humari site ka refferals traffic result show karta hai. Inhi links ko URL Parameters kahte hai.
Ab problem ye hai ki google search robot social sites se mile refferal trafficURLs ko index kar leta hai or search result me ye links bhi display hone lagte hai. Jisse site ki search ranking par asar padta hai. Google search console me URL parameters ko hide karne ka features bhi hai. Aap URL parameters ko google me index hone se band kar sakte ho.

Google Search Console Me URL Parameters Kaise Use Kare [Handling URL Parameters]

URL parameters feature google webmaster tool ka bahut acha feature hai jo aapki crapet refferal links ko indexed and deindexed karne me help karta hai. GWT URL parameters me UTM url ko control karne ke many features hai. Iski jankari ke liye aap niche diye step follow kar sakte hai.
Go to Google Webmaster Tools and log in by your gmail ID and click on CRAWL>>URL Parameters. Ab yaha par dekhiye aapko kuch parameters links dikhayi denge.
URL Parameters
In above image, clear ek message show ho raha hai. “Use this feature only if you’re sure how parameters work. Incorrectly excluding URLs could result in many pages disappearing from search.” Iska matlab aap URL parameters features ko tabhi use kare jab aapko iski puri jankari ho. Warna aapki site ki search ranking par bura asar pad sakta hai. So mai aapse kahna chahunga ki is feature ko dhyan se ache se samajhne ke bad hi use kare.
Mai aapko yaha par aysa tarika bta raha hu jisse search engine aapki site ke URL parameters ko index nahi kar sakega. Iske liye aap links ke samne Edit/Reset me se Edit par click karo.
  1. Yes: Changes, reorders, or narrows page content select karo.
  2. Other select karo.
  3. Ab No URLs ke samne tick karo.
  4. Ab aap dekhenge ki sabhi url disable ho gaye hai. Iska matlab hai ki ab search robot aapki site ke utm links ko index nahi kar payega.
  5. Finaly save par click are.
URL Parameters Settings

Isi tarah aap sabhi Parameters ki setting kar sakte ho. Or agar aapse kahi koi galti ho jati hai to links ke samne reset par click karke aap setting default kar sakte ho.
Bahut jyada URL parameters links or crawls link aapki site ki search ranking ko low kar sakte hai. Isliye inhe fix karna SEO ke liye important hai. Aap weekly crawl error or parameters link ko check karte rahe or fix karte rahe jisse aapki site ki search ranking good bani rahe. Crawl links ko fix karne ki jankari ke liye How to fix crawl errors in google webmaster tools article padh sakte hai.
Agar aapko is article me share ki gayi information helpful lage to is post ko apne friends ke sath share jarur kare.

0 Comments